Aaj Phir Rubaru Hai Khayal Uska
Aaj Phir Vaadiyon Mei Sard Havaon Ka Aalam Hai
Iss Dil Ko Usse Milne Ki Justaju Hai
Aur Jab Ye Havaein Chalegi Toh Ye Aankhen
Kuch Meete Se Khwab Bunegi Jo Dil Mei Samajayengi
Woh Jo Inn Nazro Mei Kaid Hai
Uske Ho Ne Ka Ehsaas Dil Ko Rahat De
Uski Muskurahat Mere Gham Ki Dava Bane
Uski Khushi Ki Mai Dua Karun
Uske Wajud Par Mai Gumaan Karun
Uski Aahat Mujhe Bechain Karde
Uski Khusbo In Sanson Mei Basi Hai
Jise Talaash Rahi Hai Ye Nazar Kabse
Ye Nazron Ki Sharmohaya Khamoshi Ki Sargoshi
Hasraton Ki Shahnaiyan Chahaton Ki Khusbo
Har Khawaish Usi Se Hai
Zindagi Ka Sabse Khaas Sabse Haseen Din
Usse Milne Ka Din
Dhadkane Betaab Hai Ehsaas Khamosh Hai
Kaun Hai Woh Kahah Hai Kaisa Hai??
Kuch Sapno Ke Sangat
Kuch Sharmohaya Ki Laali Pyar Ke Noor Ke Saath
Aankhen Nazre Bichayi Baiti Hai
Woh Jo Sirf Mere Tasavvur Mei Hai
Mere Khayalon Mei Haimujhse Anjaan
Hakhikat Se Durphir Bi Kareeb Kahin Toh Hoga Woh...
Click Here To Read More Shayari
http://www.hindimovieson.com/forumdisplay.php?66-Poetry-Shero-Shayari
0 comments:
Post a Comment