as salamu ale kum
maa baap ki yaad...
ek beti ki zabaani.....bibbo
mere abbu mujhe rulate hei rooz sapno me mere ate hei
mujh ko keh te the dil jigar apnaa gear ka qun mujhe banate hei
apne haatho me yun jhulate the jhula khud ko mera banate the
apne kandhe mujhe bitha te the mujh ko jan keh ke bulate the
mei thi un ke chaman ki ek daali kat kar khud se door kar dali
ashq behte hei khud ke bhi phir bhi qun mujhe parai kar daly
meri mamta mujhe bulati he rooz ake mujhe rulati he
jab bhi aankhe karun me band qun khyaalo me mere aati he
kit ni pyaari meri maa thee wo har ghadhi me yuse satati thi
phir bhi wo na mujhe rulaati thi sara din wo gale lagati thi
mujh ko nehlati wo dhulati thi naaz nakh re mere yuthati thi
meri galti sabhi chupaati thi mere babul sa na btati thi
khana hatho se wo khilati thi pyaar se good me bithati thi
meri teechar khud ban jati thi sare achche gun sikhti thi
aaj wo ammi ne mera abbu hei me hu or meri tanhaai he
yaad unki bahut hi ai he aankhe sawan si ye banai he
dekhne ko unhe taras thi hun. bhul bhethe he aaj mujh ko wo ?
deke par des me - sabhi mujh ko yad mujh ko wo kar te hei ?
thandi aahei wo bhi bhar te hei dekh ne ko mujhe taras te hei
haath pachta ke wo bhi maalte hei zoor dil par ab nahi chalta
sari dunia ka dastur he. jo sabhi maa baap uspe chalte hei
mujh ko wo bhul jaye dil se khudaa koshishe wo hazaar karte hei
bhai behne sare rote hei jab bhi mujh ko phon kar te hei
me bhi un ke sath rooti hu apne ashqon se gham ko dhoti hu
dil ko apne mna liya mene jaan sajan banaliya mene
ap to me bhi sabar se jiti hun zind gi apni unko keh ti hu
sari duniya ko bhul bhethi hu pyaar me apne ek sajaan ke
bhul jao tum bhi ab mujh ko chen se tum raho rehne do
bhuli yadei na satao tum lot ke apne ghar ko jao tum
mere baabul or maa ko ya phir mere paas laao tum
written by hameeda ameer
apna khayaal rakhna
allah hafiz bibbo
0 comments:
Post a Comment